Monday, October 13, 2008

FAZILATE DUROOD SHAREEF:

FAZILATE DUROOD SHAREEF:

Quraan Majeed mein hai Allah azw.gif or us k farishte Nabi Pak saw.gif per Durood baijhte hein.Ay Imaan walo tum bhe Aap saw.gif per Duroodo Salaam bejho".

Huzoor Pak saw.gif ne farnmaya "Jo Mera Naam sun kar Mujh per Durood na baijhe wo bakheel hai".

Hazrat Jabir(radi Allah Anhu) kahte hein ke Rasool Allah saw.gif ne farmaya "Jo sakhs subha or maghrib ki namazoon ke baad kalaam karne se pehle 100times durood Shareef parh lay to Allah us ki 100 zarooratein pori farmata hai.30 duniya mein or 70 aakhirat mein"

Rasool Allah saw.gif ne farmaya "Dua us waqt tak zameeno asmaan key darmiyaan rahte hai jab tak Mujh per Durood na baijha jae".

Aik or Hadees pak hai "Jo Mujh per aik baar Durood Pak parhata hai Allah Azawajal us k leye aik qiraat ajr likhta hai,or qiraat Ohad pahaar jitna hai."

Aik or Jadha per Nabiye Rehmat saw.gif ne Farmaya "Jis ne Mujh per 10 martaba darood pak parha Allah azw.gif us per 100 Rehmatein nazil farmae gaa".

Abu Horaira RadiAllah Anhu se marve hai ke Rasool Allah saw.gif ne farmaya: Jis ne Mujh per Aik martaba Durood parha Allah azw.gif Us per 10 martaba Durood baijhe gaa.Or Tirmizi ne in Ilfaaz ka izaafa kiya : Or Allah azw.gif is ke leye 10 naikiyaan bhe is(Durood parhane) ke badle mein likhe gaa".

Hazrat Abdul Masood Radi Allah Anhu se marvee hai ke Rasool Allah saw.gif ne Farmaya: "Qiyamat kay roz logon mein se Maire sab se qareeb wo ho ga jo (is duniya mein) kasarat se mujh per Darood baijhta hai."

Hazrat Abdullah (RadiAllah Anhu) se mrvee hai ke Rasool Allah saw.gif ne farmaya"bila shuba Allah azw.gif ke Farishte zameen mein phirte or Mujhe Omat ka Salaam pohonchate hein."

No comments: